| POSTED BY: Kshitiz on 27/04/2009 16:08:51 |
|
Maanaa k kuch juda sa hai rishta tera mera Maanaa k manzil shayud iska haasil nahiN Faqt kuch hi pal haiN teray-meray Maanaa k is mauj-e-ishq ka saahil nahiN
Teri zulfoN Kay dasht main milay Jo chaNd lamhaiN RiNd ho jauN tab teray laboN ka ras pi kar Aur doobaa rahuN teray mast nainoN ki waadioN main God main teri meri jaaN ! Sir rakh kar
Uff!shiddat say ho meray aagosh main jab TU Mil jayay un lamhoN main umr bhar ka saqooN Teray badan ki khusbu bus jayay saaNsoN main meri Aur har samt ho teri ulfat ka fasooN
Who teray chayray par khailtaa tabssum Who tera meray paas hona to itraanaa Who gaanaa tera meray liyay koi naghmaa Who haNstay haNstay teri aaNkhoN ka dubdbaa jaanaa
Farz ki zanjeeroN main jakraa Teray ankahay swaaloN ka bhi gunhagaar hooN main Aur sun kar tarap jaataa hooN gehray tak Tera kehnaa dafaatun k tera pyaar hooN main
--------------------------------------------------------------
it's very easy to hurt someone & say sorry, but it is really very difficult to get hurt & say I"M Fine..
|