Color Scheme : DEFAULT  
Welcome Guest Login or Signup
   



Bookmark:
RSS 1.0     RSS 2.0

Total Views: 707 - Total Replies: 0

POSTED BY: djsamaa on 28/03/2009 19:56:09


Mein anjaan thee ki sataye gee chahat
chaha tumhain to rulaye gee chahat

mujhe lakey mazboot banhon main apni
khuli ankh sapnay dikhaye gee chahat

Hawason main mujh ko yay rahnay na day gee
yun tera deewana banaye gee chahat

Tere narm kandhay pay sar ho ga mera
mujhe raat bhar yun jagaye gee chahat

Kabhi ro paroon gee tujhey yaad kar kay
kabhi gudguda kay hansaye gee chahat

Kabhi door jao gay tum gar mujh say
tumharee wafayen sunaye gee chahat

Agar tum bana lo gay chahat ko apna
to chahat say apna banaye gee chahat

Kabhi gher lain mushkilain to bhi tum ko
to barh kay galay say lagaye gee chahat

Agar dill main bhaRkain ge nafrat kay sholay
muhabbat say apni bhujaye gee chahat

Yaqeen rakh muhabbat ko teri
nazar say sabhon ki bachaye gee chahat





--------------------------------------------------------------
Here comes d trendsetter .. .
18/11/2026



*** NkuT.Com ***