KhushBu Ki Tarhaa Meri Har Sans Mein
Pyaar APna Basane Ka Waada Karo
Rang Jitne Tumhari Mohabbat Ki Hai
Mere Dil Mein Sajaane Ka Waada Karo
Hai Tumhari Wafaon Per Mujh Ko Yakeen
Phir Bhi Dil Chahta Hai Mere Dil Nasheen
Yun Hi Meri Tasalli Ki Khaatir Zara
Mujh Ko Apna Banane Ka Wada Karo
Sirf Lafzon Se Iqraar Hota Nahi
Ek Janib Se Hi Pyaar Hota Nahi
Main Tumhein Yaad Rakhne Ki Khaon Qasam
Tum Mujhe Na Bhulane Ka Waada Karo