Zindagi yu meri tanha toh na thi
Khamoshiyan aur udasiyan toh na thi
Na the meri aankhon mein aansu
Na tha dil maghmoom
Tum bin meri zindagi pehle adhoori toh na thi
Phir ab kyu tere bin mujhe sukoon nahi
Kyu hai ye duriyan ye udasiyan
Ye tanhayi ye majbooriyan
Kyun baar baar aankhein nam hojaati hain
Kyun mein itna tera intezaar karti hun
Kyun aakhir kyun tumse mein pyaar karti hun???