Zindagi Yun Hui Basar Tanha
Qafila Saath Aur Safar Tanha
Apne Saaye Se Chonk Jate Hain
Umr Guzari Hui iss Qadar Tanha
Raat Bhar Bolte Hain Sannate
Raat Kaate Koi Kidhar Tanha
Din Guzarta Nahi Hain Logo'n Mein
Raat Hoti Nahi Basar Tanha
Humne Darwaze Tak Toh Dekha Tha
Phir Na Jaane Gaye Kidhar Tanha..