Roothna khafa rehna Ye wafa nahi hoti
Chahaton main logon say kiya khata nahi hoti ??
Sub ko aik jaisa kyun tum samajhnay lagtay ho ??
Kyun kay sari dunya to Bewafa nahi hoti..
Har kisi say yari, har kisi say waaday
Piyar karnay walon main ye aada nahi hoti
Be-Naqaab chehray bhi ik Hijaab rakhtay hain
Sirf saat pardon main to haya nahi hoti.
Sub kuch kho diya tumharay piyar main hum nay
Kiya ye bhi chahat ki intiha nahi hoti ??