Hum Tere Shehar Mein Aye Hain Musafir Ki Tarah
Sirf Ek Baar Mulaqaat Ka Mauqa De De
Meri Manzil Hai Kahan Mera Thikana Hai Kahan
Subah Tak Tujh Se Bicharakar Mujhe Jaana Hai Kahan
Sochane Ke Liye Ek Raat Ka Mauqa De De
Apni Ankhon Mein Chupa Rakhein Hain Jugnu Mein Ne
Apni Palkon Pe Saja Rakhe Hain Ansu Main Ne
Meri Ankhon Ko Bhi Barsaat Ka Mauqa De De
Aaj Ki Rat Mera Dard E Mohabbat Sun Le
Kanp Kanpate Huye Honthon Ki Shikayat Sun Le
Aj Izhaar E Khayalat Ka Mauqa De De
Bhulana Tha To Ye Iqraar Kiya Hi Kyun Tha
Bewafa Tune Mujhe Pyar Kiya Hi Kyun Tha
Sirf Do Chaar Sawalat Ka Javaab De De