Yun Hi Dil Ko Agar Gudgudaate Raho
Yun Hi Aankhein Agar Tum Milaate Raho
Yun Hi Nazrein Agar Tum Churaate Raho
Yun Hi Paas Agar Aate Raho Jaate Raho
Ik Na Ik Din Mohabbat Haan Mohabbat Ho Jaayegi
Main Bhi Kho Jaungi, Tum Bhi Kho Jaogey
Jab Mohabbat Ki Bhadkengi Chingaariyaan
Gar Bujhaayaa Unhein To Uthegaa Dhuaan
Jab Kabhi Sharm Se Chup Rahegi Zubaan
Bol Uthengi Aankhon Ki Khamoshiyaan
Yun Hi Toofaan Dil Mein Uthaate Raho
Yun Hi Humein Yun Sataate Raho
Yun Hi Zakhmon Pe Marham Lagaate Raho
Yun Hi Paas Agar Aate Raho Jaate Raho
Ik Na Ik Din Mohabbat Haan Mohabbat Ho Jaayegi
Gungunaati Huee Raat Jab Aayegi
Khudh Ba Khud Aankhon Se Neend Ud Jaayegi
Din Ba Din Dhadkanein Aur Hongi Javaan
Hosh Aise Mein Hogaa Hamein Phir Kahaan
Yun Hi Ye Jaan Humper Lutaate Raho
Yun Hi Qadmon Mein Dil Ko Bichaate Raho
Yun Hi Seene Se Hamko Lagaate Raho
Yun Hi Paas Agar Aate Raho Jaate Raho
Ik Na Ik Din Mohabbat Haan Mohabbat Ho Jaayegi