Dhaage tod laao chaandni se noor ke
ghoonghat hi bana lo roshni se noor ke
Sharm aa gayi toh aaghosh mein lo
ho saanson se uljhi rahein meri saansein
Bol na halke halke, bol na halke halke
honth se halke halke, bol na halke
Aa neend ka sauda karein, ek khwaab de, ek khwaab le
Ek khwaab toh aankhon mein hai, ek chaand ke takiye talein
Kitne dino se yeh aasamaan bhi soya nahi hai, isko sula de
bol na halke halke, bol na halke halke
honth se halke halke, bol na halke
Umarein lagi kehte huve, do labj they ek baat thi
woh Ek din sau saal ka, sau saal ki woh raat thi
Kaisa lage jo chup chaap dono,
ho pal pal mein puri sadiyaan bitaayein
bol na halke halke, bol na halke halke
honth se halke halke
o dhaage tod laao chaanadani se noor ke
o ghoonghat hi bana lo roshani se noor ke
sharm aa gayi toh aaghosh mein lo
ho saanson se ulajhi rahein meri saansein
Bol na Halke halke