woh aana parast sahee uss ki baataoon main iqraar bhi tha
uss ke cubtey howey lehjey main chupa payar bhi tha
woh mujhey likhta hey k muntazir na rahoo lakin
uss ki tehreer main sadioon ka intazar bhi tha
woh kehta hey maatt roothoo k manana nahi ata
meri narazgi per lakin woh beyqarar bhi tha
main shaiyedh phir na likhta usey Apni khabar lakin
Dosti ka berham rakhna tha, kuch dil bey ikhtiyar bhi tha
Shaiyedh yehi uss ka Andaze Mohabbaat ho .......

woh mera humdam bhi tha aur seetam shaar bhi tha