Color Scheme : DEFAULT  
Welcome Guest Login or Signup
   



Bookmark:
RSS 1.0     RSS 2.0

Total Views: 404 - Total Replies: 0

POSTED BY: Kshitiz on 07/10/2008 16:59:08


>Kaise bataaye kitna pyaar karte hain hum tumse,
>ye bhi nahi jaante hum kitni khafaa ho humse
>aaogi humaare paas aur dogi jawaab to mar jaaenge hum khushi se
>na aaogi to rote rote mar jaaenge hum tere ghum se
>
>kisi aashiq ki mazaar ke wahaan khadaa hua aur uski kabr ka darwaaza khatkhataaya
>thodi kahaani humne use bataai apni aur thoda sach usne hume bataaya
>baato baato me humne use puch kya usne uski mehbooba ko dil ka haal bataaya
>thoda sa khafaa ho gaya woh aur naaraaz ho kar hume ye jataaya
>
>me jise chaahta tha wo kisi aur ki wafaa nibhaati thi
>pyaar karti thi humse phir bhi milne nahi aati thi
>kaise kisi aur ki wafaa me roz roz jal jaati thi
>chitthi me hi dil ka saara haal sunaati thi
>
>us ke dil ka haal sunkar rosz marta tha main
>na jaane kitni galiyo se guzarta tha main
>sochta tha zindagi ko alvida keh du
>lekin marne ke baad uska kaun hoga ye soch ke darta tha main
>
>phir ek din milne aai wo humse
>tut chuki thi puri tarhaa ghum se
>maine uske dil ka haal jaane bina keh diya
>pyaar karte hai tumse hum kasam se
>
>usne kahaa main bhi tumse pyaar karti hoon
>phir bhi main kisi aur pe marti hoon
>aaj pataa chala ki sirf tera dil hi sachcha hai
>uske dil me mere liye jagaa nahi par mere pet me uska bachcha hai
>
>ye sunkar maine use kahaa ki koi fark nahi padta mujhe
>mujhe pyaar tum se hai tumhaare jism se nahi
>usne kahaa main bhi nahi chaahti apne jism ko
>ye kehkar khatam kar diya usne apne aap ko vahi
>
>uske mar jaane ke ghum se maine apni jaan de di
>marne ke baad khuda ko apni pehchaan de di
>
>khuda ne kahaa jo ladki tum se pehle aai thi usne tumhe ye bachcha de diya
>tumhaari raah dekhkar usne dharti par janam le liya…





--------------------------------------------------------------
it's very easy to hurt someone & say sorry, but it is really very difficult to get hurt & say I"M Fine..
18/11/2026



*** NkuT.Com ***