kichan kaa bailan mara thaa tum nay jab mujh ko
us din ko yaad kartaa hoon to aankhain bheeg jaate hain,
na karo mujh pay itnaa zulm kay aajaiy ambulance
dandaa jab uthaati ho to aankhain bheeg jaate hain,
kuch to khudaa ka khouf karo reham mujh pay tum karo
aaj itnaa bhee peto aankhain bheeg jaate hain,
sirf thappar say hee kar lo guzara aaj tum baigam
kay chappal jab uthati ho to aankhain bheeg jaate hain,
jab bhee daikhta hoon main tumhaaray haath main dandaa
wohee din yaad aata hay to aankhain bheeg jaate hain,
kia tha kia qusoor kion mara mujh ko baigam nay
yeh jab bhee soochta hoon to aankhain bheeg jaate hain,
main is qadar hogaya hoon hassas us din say
kisi ko pittay daikhtaa hon to aankhain bheeg jaate hain
__________________