sunaa hai log use ankh bhar ke dekhate hain so us ke shahar main kuchh din Thahar ke dekhate hain
sunaa hai rabt hai us ko Kharaab haaloun se so apane aap ko barbaad karake dekhate hain
sunaa hai dard ki gaahak hai chashm-e-naazuk us ki so ham bhi us ki gali se guzar kar dekhate hain
sunaa hai us ko bhi hai sher-o-shaayarii se shagaf so ham bhi mojaze apane hunar ke dekhate hain
sunaa hai bole to baatoun se phuul jhaartay hain ye baat hai to chalo baat kar ke dekhate hain
sunaa hai raat use chaand takataa rahataa hai sitaare baam-e-falak se utar kar dekhate hain
sunaa hai hashr hain us kii Gazaal si aankhein sunaa hai us ko hiran dasht bhar ke dekhate hain
sunaa hai din ko use titaliyaan sataati hain sunaa hai raat ko jugnuu Thahar ke dekhate hain
sunaa hai raat se barr kar hain kaakulein us ki sunaa hai shaam ko saaye guzar ke dekhate hain
sunaa hai us ki siyaah chashmagi qayaamat hai so us ko surmaafarosh aankh bhar ke dekhate hain
sunaa hai us ke laboun se gulaab jalate hain so ham bahaar par ilzaam dhar ke dekhate hain
sunaa hai aainaa tamasaal hai jabiain us kaa jo saadaa dil hain ban saanvar ke dekhate hain
sunaa hai jab se hamaail hain us ki gardan main mizaaj aur hi laal-o-gauhar ke dekhate hain
sunaa hai chashm-e-tasawar se dasht-e-imkaan main palang zaave us ki kamar ke dekhate hain
sunaa hai us ke badan ke taraash aise hain ke phuul apani qabaayen katar ke dekhate hain
vo sarv-qad hai magar be-gul-e-muraad nahain ke us shajar pe shaguufe samar ke dekhate hain
bas ek nigaah se luTataa hai qaafilaa dil kaa so rahain-ravaan-e-tamannaa bhi Dar ke dekhate hain
sunaa hai us ke shabistaan se muttasil hai bahisht makeen udhar ke bhi jalve idhar ke dekhate hain
ruke to gardishein us kaa tawaaf karati hain chale to us ko zamaane Thahar ke dekhate hain
kise naseeb ke be-pairahan use dekhe kabhi kabhi dar-o-diivaar ghar ke dekhate hain
kahaaniyaan hian sahi sab mubaalaGe hi sahi agar wo Khvaab hai taabeer kar ke dekhate hain
ab us ke shahar main Thaharein ki kuuch kar jaayein 'Faraz' aao sitaare safar ke dekhate hain
--------------------------------------------------------------
it's very easy to hurt someone & say sorry, but it is really very difficult to get hurt & say I"M Fine..
--------------------------------------------------------------
it's very easy to hurt someone & say sorry, but it is really very difficult to get hurt & say I"M Fine..