Color Scheme : DEFAULT  
Welcome Guest Login or Signup
   



Bookmark:
RSS 1.0     RSS 2.0

Total Views: 233 - Total Replies: 0

POSTED BY: loveismylife on 21/07/2008 17:30:44


haathon mein lekar unka haath kuch der thehrana chahte the hum,
par ye waqt ne gawanra na samjha aur chhura diya hanthon se haath,

kuch der unki aahosh mein sona chahte the hum,
par ye waqt ne munasif na samjha aur chura liya daamn unka humse,

humne to mangi thi wafa unse, unki is wafa ke sahare jeena chahte the hum,
par ye waqt ko raaz na aya aur kara di unse bewafayi,

rote the hum unki yaad mein, sahte the dard is tanhayi ka hum,
par ye waqt ko razz na aya aur usne kar diya khada hume mahfil mein,

chupate the zinse hum ye dard , karte the zinhe hum yaad,
aaj is mahfil mein is waqt ne fir rubru kara diya,

ab jayein to jayein kahan is tute dil ke dard ko lekar
par is waqt ne sikha diya hume is dard ko chupa kar hansna,

ab to bas hanste hain hum aur hanste hain hum ,
rahte hain is mehfil mein sabke hokar,

chupa na pate the pehle is dard ko,
par is waqt ne sikha diya humein apne dard ko chupana,

19/11/2026



*** NkuT.Com ***