Color Scheme : DEFAULT  
Welcome Guest Login or Signup
   



Bookmark:
RSS 1.0     RSS 2.0

Total Views: 198 - Total Replies: 0

POSTED BY: loveismylife on 20/07/2008 17:11:28


Ab Aanso'on Ko Aankhon Main Sajana Hoga
Chiraagh Bhuj Gaye, Khud Ko Jalana Hoga...

Na Samajhna Keh Tum say Bichar Kay Khush Hain
Humain Logon Ki Khaatir Muskurana Hoga...

Phir Shaam Dhal Gayi, Tum Aaye Na Aaj Bhi
Dil Ko Aaj Phir Umeedon Say Behlana Hoga...

Wada Khilafi Kar Kay Muskuratay Ho Aap
Dekhna Aik Din AEY DOST Tum ko Pachtana Hoga...

lahu Say Apnay, Kafan Pay Tera Naam Likh Jaaoon ga
Thaam Kay Haath Main Phool Tum ko Aana Hoga...

Abhi Say Na Kijiye Takazay Masroofiyat Kay Aap
Abhi Uthna Hay Janaza, Kaandha To Daina Hoga...

Muddaton Kiya Hay Tera Intezaar, Aey DOST!
Ummar Katt Chuki Ab To Jana Hoga !!!

19/11/2026



*** NkuT.Com ***