Color Scheme : DEFAULT  
Welcome Guest Login or Signup
   



Bookmark:
RSS 1.0     RSS 2.0

Total Views: 260 - Total Replies: 3

POSTED BY: sahirchaudry on 29/06/2008 19:34:37


kisi ne poocha mohabbat kya hai???


Samundar ne kaha...
Mohabbat samundar ki gehraiyo mein chhupi hui ek seep hai,
JIsme chahat jaisa anmol moti mojood hai...


Baadal ne kaha...
Mohabbat ek dhanak hai,
Jisme har Rang samaya hota hai...


Shayar ne kaha...
Mohabbat ek aisi ghazal hai,
Jo har ek sunnewalo ke dil mein utarti chali jaati hai...


Saaz ne kaha...
Mohabbat ek aisa geet hai,
Jo Dil mein utar jaata hai...


Mali ne kaha...
Mohabbat gulshan ke phool ki woh dilkash khusboo hai,
Jisme saara gulshan mehak utha hai...


Aankhon ne kaha...
Mohabbat aansoo ka samundar hai,
jo kisi ke intezar mein khamoshi se behta hai...


Dil ne kaha...
Mohabbat kisiko Khamoshi se chahte jaana ka naam h





--------------------------------------------------------------
SALAM YA HUSAIN(A.S)




POSTED BY: QuEeN_Of_HeArTs on 30/06/2008 02:25:42


Can't understand grrrrrrrrrrrr! tell me the meaning na now na bf





--------------------------------------------------------------
Back To Top




POSTED BY: kashish on 30/06/2008 06:23:59


kashish ne kaha ..........

 


Mohabbat wala duniya ka khush Kismat tareen insaan hai......
Aur jiss kay Dil may Mohabbat nahin.....
Woh duniya ka Bad Tareen shakhs Hai...


Aakhir Jeet Mohabbat ki he Hoti hai

 

Mohabbatein
"Pyaar zindagi ki tarah hota hai, Jiska her morr aasan nahi hota, Her raste per khushi nahi milti, Per jab hum zindagi ka saath nahin chorte, To hum pyaar karna kyon chorein..."

 

 





--------------------------------------------------------------
Hazaron Manzilain Hongi HazarOn Karvaan HongayNigahein HumKo DhOondHain Gi Najane Hum Kahan Hongay~
Back To Top




POSTED BY: Kshitiz on 30/06/2008 12:50:44


i'm not with u DD

---------------------------------

Mohabbat Jeet Hoti Hai, Magar Ye Haar Jati Hai,

Khabi Dil Sooz Lamhoo Se,Khabi Beekaar Rasoo Se,

Kahbi Taqdeer Waloon Se,Khabi Majboor Qasmoo Se,

Magar Ye Haar Jati Hai, Khabi Ye Phool Jessi Hai,

Khabi Ye Dhool Jessi Hai,Khabi Ye Chand Jessi Hai,

Khabi Ye Dhoop Jessi Hai,Kahbi Masroor Karti Hai,

Khabi Ye Roog Deti Hai,Kisi Ka Chain Bannti Hai,

Kissi Ki Jaan Leti Hai,Khabi Lay Paar Jati Hai,

Khabi Ye Maar Jati Hai,Mohabbat Jeet Hoti Hai,

Magar Ye Haar Jati Hai !! Mohabbat haar jati hai..



kashish wrote:

kashish ne kaha ..........


Mohabbat wala duniya ka khush Kismat tareen insaan hai......
Aur jiss kay Dil may Mohabbat nahin.....
Woh duniya ka Bad Tareen shakhs Hai...


Aakhir Jeet Mohabbat ki he Hoti hai


Mohabbatein
"Pyaar zindagi ki tarah hota hai, Jiska her morr aasan nahi hota, Her raste per khushi nahi milti, Per jab hum zindagi ka saath nahin chorte, To hum pyaar karna kyon chorein..."






--------------------------------------------------------------
it's very easy to hurt someone & say sorry, but it is really very difficult to get hurt & say I"M Fine..
Back To Top
19/11/2026



*** NkuT.Com ***