Color Scheme : DEFAULT  
Welcome Guest Login or Signup
   



Bookmark:
RSS 1.0     RSS 2.0

Total Views: 224 - Total Replies: 0

POSTED BY: Kshitiz on 23/06/2008 17:39:29


-------------------------------------------------------------------
tum kehte kehte hi kuchh baat aisi keh gaye
roka bahut humne magar do aansoo fir bhi beh gaye
roye bahot hai gum mein tanha akele unhi
socha nahi par, khushi mein bhi yeh saath mere reh gaye
-----------------------------------------------------------------
yeh na samjho ke bichhadi hoon tou bhool gayi hoon
teri dosti ki khushboo mere haathon mein aaj bhi hai
mohabbat se badh kar mujhe aqidat hai dost tumse
yoon muqaam tera buland sab doston mein aaj bhi hai
------------------------------------------------------------------
tu woh hai jo barson ki talash ka saman hai
tumhe sochna meri yaadon mein aaj bhi hai
yeh aur baat hai ke majbooriyon ne nibhane na di dosti
warna shamil sachayi meri wafaon mein aaj bhi hai
---------------------------------------------------------------------
mera har sher meri chahaton ki gawahi dega
chahton ki khushboo in lafzon mein aaj bhi hai
har lamha zindagi mein mohabbat naseeb ho tujhe
shamil tu mere duwaon mein aaj bhi hai.
--------------------------------------------------------------------





--------------------------------------------------------------
it's very easy to hurt someone & say sorry, but it is really very difficult to get hurt & say I"M Fine..
19/11/2026



*** NkuT.Com ***