Aaj khidaki se door dekh rahi thee mai
Charoo taraf maidan hi maidan tha…..
Aur hawa ke saath khelta hua neelima liye vishal hara rang….
Badal ghoom ghoom kar ghir (fall) rahe the
Suraj par….
Jaise koyal ke aanchal mai sindoor….
Kuch chidiya jaate jaate chand ko ched
rahi thee apni kook sai…
sharma kar chand aadha hua jaa raha tha,
aaj patto nai bhi thani hai shaitani…
pani ko nahi thahrne denge apne upar..
sitaro ne bhi disha badal lee hai apni aaj…
Kuch kam savla lagta hai aasman
maine bhi soch liyaa hai…
aaj kah hi doongi haathon ki lakeeron sai..
ki tumhari manmauji nahi chalegi,
meri jindagi mai….abh