Yeh Zarori Tou Nahin ...
ummar jalvoon mein basar ho ye zarori to nahi
har shab gham ki shaer ho ye zarori to nahi
neend to dard ke bistar par bhi aa jati hai
un ki aaghosh mein sar ho ye zarori to nahi
aag ko khel patangon ne samajh rakha hai
sab ko anjam ka dar ho ye zarori to nahi
sab ki saqi pe nazar ho ye zarori hai magar
sab pe saqi ki nazar ho ye zarori to nahi