Color Scheme : DEFAULT  
Welcome Guest Login or Signup
   
Bookmark:
RSS 1.0     RSS 2.0

Total Views: 380 - Total Replies: 1

POSTED BY: Sahiil on 18/04/2008 19:44:00

Suno!
Naraz Ho Hum Say
Mager Hum Woh Hain Jinhein Manaana Nahin Aata
Kisi Ne Aaj Tak Hum Say Mohabbat Jo Nahin Ki Hai
Mohabbat Kis Tarah Hoti
Humarey Shehar Ke Atraaf Mein To Sakht Pehra Tha Khizaaon Ka
Aur Iss Shehar-e-Pareshan Ki Faslein To Zard Paton Say Ladi Theen
Aur Inn Mein
Na Khushboo Thi Na Koi Phool Tum Jaisa
Mehak Utthtey Humarey Deeda Dil Jiss Ki Qurbat Say
Hum Aisey Shehar Ki Sunsaan Galiyon Mein Kisi Sookhey Huwey
Weeran Patey Ki Tarah Thay
Ke Jab Zaalim Hawa Hum Per Khadam Rakhti To Uss Ke Paaon
Ke Neechey Humara Dam Nikal Jaata
Mager Pat Jharr Ka Woh Mosam Apna Tal Chuka Hai Abb To
Mager Jo Haar Hona Thi Woh To Ho Chuki Hum Ko
Suno!!!
Haarey Huwey Logon Say Roottha nahin Kartey …….

POSTED BY: kashish on 19/04/2008 06:04:31

bahot khoob ...

--------------------------------------------------------------
Hazaron Manzilain Hongi HazarOn Karvaan HongayNigahein HumKo DhOondHain Gi Najane Hum Kahan Hongay~
Back To Top
19/11/2026

*** NkuT.Com ***