Kabhi Yaad aye to puchna zara
Apni khilawat-e-sham se
Kise ishq tha teri zat se
Kise pyar tha tere naam se
Zara yad kar k wo kon tha
Jo kbhi tujhe bhe aziz tha
Wo jo jee utha tere naam se
Wo jo mar mita tere naam pe
Hamain berukhi ka nhi gila
K yehi wafaon ka hai sila
Magar aisa jurm tha kon sa
Gaye hum Dua-o-Salam se
Na kabhi visal ki chah ki
Na kabhi firaaq mai aah kee
K mera tareeqa-e-bandgee
Hai juda tareeqa-e-aam se