Mujhe bas itna kehna hai....
Kabhi main yaad aaoon to..
Kabhi tanhai ki raatain ...
Tumhain ziada sataein to..
Kabhi titli na bolay to ........
Aur jugnoo lout jaye to ......
Kabhi jab dil bhi bhar jaye ........
Koi jab sunn na paye to ...
Agar sab dost sathi bhi .....
Jo tum se rooth jaaein to...
Kabhi jab khud se lar lar kar .....
Thakan se choor ho jao ...
Kabhi chahtay huay bhi khud akelay....
Ro na paao to .......
Apni aankhon ko band karna ....
Mujhay aawaz de dena ...
Aur phir meray tasawur se ......
Jo chaho batain keh dena ......
Meray kandhay pe sir rakh kar .......
Tum jitna chaho ro lena .........
Phir khud main jab loat jao to ...
Ussii duniya me chalay jana .....
Magar bas itna kehna hai .....
Ke jab bhi dukh ya khushiyon main......
Humaiin dil se pukaro gay .....
Humaiin tum saath pao gay .......