|
Mohabbat say, Inayat say, wafa say chot lagti hai Bikharta phool hoon mujhko hawa say chot lagti hai
Main shabnum ki zuban say phool ki aawaz sunti hoon Ajab ahsaas hai apni sada say chot lagti hai
Tujhe khud apni majburi ka andaza naheen shayad Na kar ahed-e-wafa, ahed-e-wafa say chot lagti hai
Meri aankhon main aansoo ki tarha ek baar aa jao Takaluf say, Banawat say, aada say chot lagti hai
--------------------------------------------------------------
TaKe My HaNd nd NeVEr LeT Go......!!
|