Is bhari duniya mein koi bhi humara na hua
ghair toh ghair they apno ka sahara na hua
log ro ro ke bhi is duniya mein jee lete hain 
ek hum hain ke hanse bhi toh guzaara na hua

ek mohabbat ke siwa aur na kuch maanga tha
kya karein yeh bhi zamane ko gawara na hua
aasmaa kitne sitare hain teri mehfil mein
apni taqdeer ka hi koi sitara na hua
Is bhari duniya mein koi bhi humara na hua
ghair toh ghair they apno ka sahara na hua.