Dard Ke Tufaan Dil Me Uthathe hain,
Lamhe sadiyon ke tarha katate hai,
Hum mitana chahe jo kabhi aap ke nakss kaha mitate hai,
Humesha tanhaiyon ki majliss me humne aap ka intazar kya,
Aap ki khatir kambkhat dil ne,
Dard me simti hui gehraiyon se bhi pyaar kiya.
Yu Armano pe chayenge sabab aap ke chahat ke,
Sochna Na tha Kabhi,
Yu hamari chain ko itni taklif pahuchayenge,
Ye lamhe aap ke mohabbat ke, socha na tha kabhi,
Yu aap ki kasish ka jadoo chalega jism-o-jaan pe,
Ki aap hee aap nazar aayengi,
Anjuman me, sehara me, jamin aasma me,
socha na tha kabhi.
Humesha tanhaiyon ki majliss me humne aap ka intazar kya,
Aap ki khatir kambkhat dil ne,
Dard me simti hui gehraiyon se bhi pyaar kiya.
HumNe Aap se umeed ki bhi toh kya?
Thodi se siddat, thodi se wafa,
Meri itni see gujarish kabool kadne ke liye,
Aap hume itna tarsayenge? socha na tha kabhi,
Yu humare khawabo ko mukkamal kadne ke liye,
Ess kadar aap hume pal-pal tarpayenge,
Socha na tha kabhi,
Humesha tanhaiyon ki majliss me humne aap ka intazar kya,
Aap ki khatir kambkhat dil ne,
Dard me simti hui gehraiyon se bhi pyaar kiya.