|
kisi ki ankh say sapnay chura kay kuch nahin milta
manderon say churaghon ko bhuja kay kuch nahin milta
koi aik adh sapna ho to phir acha bhi lagta hai
hazaroon khuwab ankhoon main saja kay kuch nahin milta
sakoon unko nahin milta kabhi pardes ja kay
jnihay apnay watan say dil laga kay kuch nahin milta
yeh acha hai kay apis kay bharam na totnay payeen
kabhi apnay dostoon ko azma kay kuch nahin milta
mughay askar sataroon say he awaz at hai
kisi kay hijar main nendayn gunwan kay kuch nahin milta
jighar ho jaye ga chalni yeh ankhayn khoon ho jayengi
wasi befez loghoon say nibha kar kuch nahin milta
****************************************************
Jab raat ki nangin dastee he,
Nas nas main zehar utarta he,
Jab chnand ki kirnen tezi se,
Es dil ko cheer ke utarti hain,
Jab aankh a nder he ansoo,
Zanjeeron main bandh jate hain,
ab jazboon par chha jate ho,
Tab yad bhut tum aate ho.
Jb dard ki jhanjhar bajte he,
Jab raqs ghamoon ka hota he,
Khuwaboon ke taal pe saare dukh,
wahshat ke saaz bajate Hain,
Gaate hain khuwahish k lay main,
masti main jhumte jate hain,
ab jazboon par chha jate ho,
Tab yad bhut tum aate ho.
****************************
Gungunatey Huye Aanchal Ki Hawa Dey Mujh Ko
Ungliyaan Pheir Kar Baloun Mein Sula Dey Mujh Ko
Jiss Trah Faaltu Guldaan Parey Rehtey Hein
Apney Ghar Key Kisi Koney Sey Laga Dey Mujh Ko
Yaad Kar Key Mujhay Takleef Hi Hotti Ho Gi
Eik Qissa Houn Purana Sa Bhula Dey Mujh Ko
Doubtey Doubtey Aawaz Teri Sun Jaoun
Akhri Baar Tu Sahil Sey Sada Dey Mujh Ko
Main Tery Hijar Mein Chup Chap Na Mar JAoun Kahein
Main Houn Saktey Mein Kabhi Aaa Kar Rula Dey Mujh Ko
Dekh Main Ho Gya Houn Badnaam Kitboun Ki Trah
Meri Tashheer Na Kar Ab To Jala Dey Mujh Ko
Roothna Tera Meri Jaan Liye Jata HAi
Aisy Naraz Na Ho,Hans K Dikha Dey Mujh Ko
Aur Kuch Nahein Manga Meray MAlik Tujh Sey
Us Ki Galiyoun Ki Khak Bana Dey Mujh Ko
Log Kehtey Hein K Yeh Ishq Nighal Jata HAi
Main Bhi Is Ishq Mein Aya Houn,Duaa De Mujh Ko
Yahi Auqaat Hai Meri Teray Jeevan Mein
Koi Kamzore Sa Lamha Houn,Bhula De Mujh Ko
*****************************
Kal hamesha ki tarha uss ne kaha ye phone per
main bohat masroof hoon mujh ko bohat se kaam hein
as liye tum aao milne, main to aa sakti nahi
har rawayet tor ker as baar main ne keh diya
tm jo ho masroof to main bhi bohat msroof hoon
tum jo ho mash`hoor to main bhi bohat ma`roof hoon
tum agar ghamgeen ho main bhi bohat ranjoor hon
tum thakan se choor to main bhi thakan se choor hon
jan-e-man hai waqt mera bhi bohat hi qeemti
kuch purane doston ne milne ana hai abhi
main bhi ab farigh nahi mujh ko bhi lakhon kaam hain
warna kehne ko to sb lamhe tumhare naam hain
meri ankhein bhi bohat bojhal hein sona hai mujhe
rat-jagoon ke baad ab neendon main khona hai mujhe
main lahoo apni anaon ka baha sakta nahi
tum nahi aateen to milne main bhi aa sakta nahi
uss ko ye keh ker WASI main ne receiever rakh diya
aur phir apni ana ke pawon pe sar rakh diya
*****************************
sochta hoon usay neend bhi aati ho gi
ya meri tarhan faqat aashq bahati ho gi
wo meri shakal mera naam bholane wali
apni tasweer se kya aankh milati hogi
sham hote hi chokhat par jala kar shamain
apni palkoon par kai khuwaab sulati hogi
is nai silwa bhi liye hon gay siyah rang libas
ab moharam ki tarhan Eid manati ho gi
hoti ho gi mere bhossay ki talab mein pagal
jab bhi zulfoon mein koi phool sajati ho gi
***********************************
us ki ankh meon muhobaat ka sitarah hoga
ek din ayga woh shakhs humara hoga
tum jahan mere ley cipiyun chunti hongi
woh kisi or hi dunya ka kinara hoga
zindagi! ab k mera naam na shamil karna
gaar yeh taay hai k yehi kheel dubarah hoga
jis k honay se meri sans chala karti thi
kis tarha is k bagir apna guzara hoga
yeh achnak jo ujala sa hua jata hai
dil ney chupke se tera naam pokara hoga
ishq karna hai to din rat usey sochna hai
or kuch zehaan mein aya to khasara hoga
yeh jo pani mein chala aya sunehri sa guror
us ney darya mein kahin paon utara hoga
kon rota hai yaha raat k sanaton mein
mera jaysa hi koi hijir ka mara hoga
mujhe ko malom hai junhi mein qadam rakhonga
ZINDAGI! tera koi orr kinara hoga
***************************
taira maira rishta kuch aisa uljha hai
us ko suljhatay suljhatay
apnay dil ki porain zakhmi ker baitha hoon
rishta shayad sulajh na paye
lekin usko suljhanay ki dhun mein janan
saray khuaab bhula baitha hoon
apna aap ganwa baitha hoon
(WASI SHAH)
--------------------------------------------------------------
To love someone is one thing, to be loved is another, to be loved by the one you love is everything.
|