Kabhi Apne Ghar Ko Bhi Aag Laga K Dekho.
Main Ne Din Raat Khuda Se Yeh Dua Mangi Thi
Koi Aahat Na Ho Dar Par Meray Jab Tu Aaye.
Hum Ne Day Di Isharoon Mein Ijazat Tum Ko
Mangne Se Na Miloon To Chura Lo Mujh Ko.
"Kaha Tha Na"
kaha tha na
is tarah sotay huye mat chor k jana
mujhe besha jagga dena
bata dena
muhabbat k safar mein sath meray chal nahi sakten
judai k safar mein sath meray chal nahi sakten
tumhain rasta badalna
hai
mere had se nikalna hai
tumhain kis baat ka dar tha
tumhain jane nahi deta
kahen pe qaid kar leta
aray pagli muhabat ki tabiet mein zabardasti nahi hoti
jisay rasta badalna ho usay rasta badalnay se
jisay had se nikalna ho usay had se nikalnay se
na koi rok paya hai
na koi rok paye ga
tumhain kis baat ka dar tha
mujhe beshak jagga detay
main tum ko dekh hi leta
tumhain koi dua deta
kam az kam yun to na hota, mere sathi haqeeqat hai
tumharay baad khonay k liye kuch bhi nahi baqi
magar khonay se darat hoon
main ab sonay se darta hoon.