Meri saari zindagi ko besamar us ne kiya
Umer meri thi magar us ko basar us ne kiya
Me bahut kamzor tha is mulk me hijrat ke baad
par mujhe is mulk me kamzor tar us ne kiya
raahbar mera bana gumrah karne ke liye
Mujh ko seedhe raste se darbadar us ne kiya
Shahar me Motabar woh meri gawahi se hua
Phir mujhe is shahar me namotabar us ne kiya
Shahar ko barbad kar ke rakh dia usne Munir
Shahar pe yeh zulm mere naam par us ne kiya