Sabhi ne yu to
kiya tajziya Mohabbat ka,
Kisi se hal na hua masla Mohabbat ka,
Woh
jis ke hijur mein rona, use dua dena,
Samajh mein nahi aata falsafa Mohabbat
ka,
Na jane kitni hi ankhein chalak jati hai,
kisi bazam mein ho ager
tazkara Mohabbat ka,
Tammam umer tum khushi ko tarso ge,
Na azmana
kabhi hosla Mohabbat ka...