AB k saal kuch aisa karna
apnay pichlay bara mah k
duk suk ka andaza karna
saada sa ek kaaghaz lai k
bhulay bisray pal lik laina
apnay saaray kal likh laina
phr is beetay ek ek kal ka
apnay guzray ek ek pal ka
ek ek mod ehata karna
saari subhain haazir rakhna
saai shaamain paas bulana
or ilawa un k daikho
saaray pal dehan mai rakhna
ek ek yad guman mai rakhna
phe mohtat qayas lagana
gar to kushiyan bad jayen to
to phr tm ko meri taraf se
aanay wala saal mubarak
or agar gham bad jayen to
mat baikar takalluf karna
dekho phr tm aisa karna
meri khushiyan tm lai laina
muj ko apnay gham de daina
ab k saal kuch aisa karna
HAPPY ISLAMIC NEW YEAR to all MUSLIMS brothers and sisters