| POSTED BY: Kshitiz on 18/12/2007 16:51:52 |
|
Waqat Se Waqat Ki Kya Shikayat Karein Waqat Hi Na Raha Waqat Ki Baat Hai Uss Ney Dekha Muje Ussney Chaha Muje Ussnay Thukra Diya Waqat Ki Baat Hai
Koi Mushkil Parri Koi Kaam Aa Gaya Zehan Mein Usskay Jo Mera Naam Aa Gaya Baad Muddat Ke Woh Doston Ki Tarrah Hum Se Huss Ke Milla Waqat Ki Baat Hai
Zindagi Hum Say Anjaan Tu Ho Gai Ek Rishtay Ki Pehchaan Tu Ho Gayi Koi Chahat Na Thi Bas Murrawatt Thi Woh Khud KO Samjha Liya Waqat Ki Baat Hai
Apna Rang-e-Muhabbat Hai Sab Se Juda Koi Pochhay Tu Rashid Kahon Or Kya Jiss ko Payaa Nahi Ussko Kho Ker Bhi Main Kiyon Ussi Ka Raha Waqat Ki Baat Hai
--------------------------------------------------------------
it's very easy to hurt someone & say sorry, but it is really very difficult to get hurt & say I"M Fine..
|