| POSTED BY: Kshitiz on 28/11/2007 18:22:04 |
|
Yun abad ke gunah ko salaam na karein Tute dil ke dharkan ko karam na karein Aarzoo humari in aasra ki aaz yun aap zindegi to tamam na karein
Yun ishq pe rok lagaya na karein Bichre nazmonko jalaya na karein Aabru kabke faana ho chuke yeh Yun saazonko chupaya na karein
Yun aas ki aas ko chhina na karein Labzon se aasra aasha na karein Majboor aakhaz se shama bujhe ya Yun aj deewane majnoo bana karein
Yun Ibtidaa aj abtar huya karein Ittihaam aj abaad huya karein Isbaat ne karam kiya na hume Yun ilzamaatein bhi ehsaan kiya karein
Yun armaan bhi deewani huya karein Yeh daastan aj dhokha diya karein Bewafa ulfaat rangeen ho ya Berangeensi tarannum shayar huya karein
Yun irshaad ki aada arz kiya karein Asfaar me aj hume dariya bulaya karein Azal ke istifaa ne bandhe huye asir Yun ihtiyaat bhi aj mazak huya karein
Yun badnaseebi ki khwab dikhaya karein Sineme soz ki daag lagaya karein Shabab ke aandhime gumnaam huye wajh Yun bina sharab ke sharabi kaha karein
Yun taqdeer humse tamasha kiya karein Yeh tanhaayai nazron ki tauheen kiya karein Paymana tarashein yeh tasawur ki tars Yun dil na de ya bewafai kiya karein
Yun zehersa gulzaar me hum qatl huya karein Ittefaqse aatish aj tezaab huya karein Zaabit ke aakhein kuch tanha isqadar Yun jism se aj aag lagaya karein.
--------------------------------------------------------------
it's very easy to hurt someone & say sorry, but it is really very difficult to get hurt & say I"M Fine..
|