Kahun bhi to kya sunaaun bhi to kaise
Dastan apni bataaun bhi to kaise
na hi manzil mili aur naa mili mujhe wafa
haal-e-dil apna sunaaun bhi to kaise
mili jo mujhe to bas tadap hi mili
ghamon ka daman chhupaaun bhi to kaise
DAAG-e-MUHABBAT ne mujhe kamzor kar diya
hasraton ka bojh uthaaun bhi to kaise
naa ummid hai koi aur na hi tamanna baqi
khud ko yeh haqqeqat samjhaaun bhi to kaise
wfa ka usne jo wada kiya tha mujh se
dhoka tha ek khud ko bahlaaun bhi to kaise
ek taraf uski yaaden hain to ek taraf us se nafrat
yeh dohri zindagi guzaarun bhi to kaise