| POSTED BY: aneela on 21/11/2007 09:32:17 |
|
j
jaB Tumhin yaqeeN hoojaiN... Jab tumhein yeh yaqeen ho jaye ke main tumhein kitna chahta hoon Tumse kitni mohabbat karta hoon To usi din tum laut aana Tum mujhe apna muntazir paao gi
Jab tumhain aisa lage ke koi tumhare sang nahi hai koi tumhara hamdam nahi hai To usi din tum laut aana Tum mujhe apna muntazir paao gi
Jab tumhain zindagi dushwar lage Jab koi umeed na koi aas ho koi bhe na tumhare pass ho To usi din tum laut aana Tum mujhe apna muntazir paao gi
Agar kabhi yadein bohat dukh de Tanhai ka ehsas bohat satae To usi din tum lautt aana Tum mujhe apna muntazir paao gi
Jab you lage tumhain ke Tum ab aik qadam bhe nahi chal sakti Mazeed is aag main nahi jal sakti To usi din tum laut aana Tum mujhe apna muntazir paao gi
Jab har saans boojh lagne lage Tum andar hi andar tootne lago To ausi din tum lautt aana Tum mujhe apna muntazir paao gi
Na mile panah kisi key banhoon main Aur shiddat se kisi ke zaroorat ho To usi din tum laut aana Tum mujhe apna muntazir paao gi
Jab yeh ehsas tumhain tadpane lage
--------------------------------------------------------------
ANEELA
|