| POSTED BY: aneela on 21/11/2007 09:26:52 |
|
har koi dil ki hatheli pe hai sehra rakhe kisay sairab kare wo kisay pyasa rake
kon nibhata hai umr bhar taalluq itna aye meri jan ke dushman tujhe Allah rakhe
hans na itna faqeeron ke akele pan per ja khuda meri tarha tujh ko bhi tanha rakhe
kam nahi tama e ibadat bhi hirs e zar se fuqr to wo hai ke jo deen na duniya rakhe
dil bhi pagal hai ke us shakhs se wabasta hai jo kisi aur ka hone de na apna rakhe
mujh ko acha nahi lagta koi humnamm tera koi tujh sa ho to phir naam bhi tujh sa rakhe
ye ata'at hai qana'at hai ke chahat hai faraz hum to razi hain wo jis haal mien jesa rakhe ******************
--------------------------------------------------------------
ANEELA
|