| POSTED BY: aneela on 16/11/2007 11:05:04 |
|
aay DIL na roo tu meri baat sun
tu apni chah nibhaie ja
jis zeest se mili talkhiya'n
na tu kar gilla jo nahi mila
usey bhule mat
usey be'dilli se sada na de
usey pyaar kar
usey qoul de
oor yaqeen dila k utar do'n
tera pyaar us k dil me bhi
wo rah jo qarar de
tujhe pyaar de
usey geet gate lamho'n ka
rasta dikhai ja
aay DIL na roo tu meri baat sun
tu apni chah nibhaie ja
jo bikhar giya wo samet le
jo ujhar giya wo sanwar le
usey rah chalte me rok kar
kabhi DIL ka haal bayan kar
usey mat sata, usey mat rula
usey intizar na de khada
usey ruthne ki saza na de
tu apne zabth ko taam kar
usey ruthne de hazar bar
tu manaye ja, tu manaye ja
aay DIL na roo tu meri baat sun
tu apni chah nibhaie ja
jo chali gai tujhe chor kar
teri rah se mu morh kar
usey yaad kar, usey mat bhula
usey bhulne ki DUA na kar
ye yaqeen rakh k wo lot kar
teri rah me phir aai ge
or na aai agar wo lot kar
to gilla na kar
ekwarh DIL k tu seh magar
har ek saans un ko Duwai'n de
koi gham na kar
har ek dukh ko hans k
uthai ja muskurai ja
aay DIL na roo tu meri baat sun
tu apni chah nibhaie ja
--------------------------------------------------------------
ANEELA
|