kaha usne bharosa dil par itna nahi karte
kaha meine ki mohhabat mein kabhi socha nahi karte!
kaha usne bahoot khush rang duniya ke nazare hain
kaha meine kI jab tum ho toh kuch dekha nahi karte!
kaha usne main tum se door hu lekin tumhara hoon
kaha meine ki sapne dil ko behlaya nahi karte!
kaha usne tumhari chahat mein ruswaiya hongi
kaha meine shohrat se gabraya nahi karte!
kaha usne samjh jao samjh jao aE mere pagal deewane!!
kaha meine ki deewane ko samjhaya nahi karte!!!