Color Scheme : DEFAULT  
Welcome Guest Login or Signup
   



Bookmark:
RSS 1.0     RSS 2.0

Total Views: 285 - Total Replies: 0

POSTED BY: Kshitiz on 22/10/2007 19:28:25


Dil ke sanaton mein rahney waaley, tanha tum
hi nahin
Tanhai se batein karney waaley, tanha tum hi nahin

Is ishq ne
barbaad kiya hai har shaks ko yahan
Is ishq mein bikharney waaley tanha tum
hi nahin

Kehne ko toh faqat ek dil hi toota hai
apna sabb kuch
lutanaey waaley, tanha tum hi nahin

Hastey hoey chehrey hain yahan sabb
key,
Dard yun chupaney waley, Tanha tum hi nahin

Shab-e-tanhai ki
dastan ek se hai sabb ki,
Andheron mein roney walay, tanha tum hi
nahin

Aesa lagta hai hai ek saza ho zindage mere,
Is qaid mein rahney
waley, tanha tum hi nahin

Is shehar mein or bhi deewaney hain r
Darr
darr bhatakney walay, tanha tum hi nahin....




--------------------------------------------------------------
it's very easy to hurt someone & say sorry, but it is really very difficult to get hurt & say I"M Fine..
18/11/2026



*** NkuT.Com ***