Jhuki jhuki si nazar be-qrar hai kay nahi
Daba daba sa sahi dil main piyar hai kay nahi
Tu apnay dil ki jawan dharrkanoon ko gin kay bata
Meri tarhaan tera dil beqraar hai kay nahi
Daba daba sa sahi dil main piyar hai kay nahi
Wo pal, kay jis main mohabbat jawan hoti hain
Us ek pal ka tujhay intizaar hai kay nahi
Daba daba sahi dil main piyar hai kay nahi
Teri umeed per thukra raha hoon dunyaa ko
Tujhay bhi apnay pay yeh aitibaar hai kay nahi
Jhuki jhuki si nazar beqrar hai kay nahi
Daba daba sa sahi dil main piyaar hai kay nahi