| POSTED BY: Kshitiz on 11/10/2007 14:42:03 |
|
Safar tanha nahi kartey Suno aysa nahi kartey Jessey shaffaaf rakhna ho Ussey maila nahi kartey Teri aankheyn ejazat dain to Hum kiya kiya nahi kartey ? Bohat ujrey huway ghar per Bohat socha nahi kartey Safar jis ka muqqadar Usey roka nahi kartey Jo milkar khud se kho jaey Usey ruswa nahi kartey Chalo tum raaz ho apna Tumheyn affshan nahi kartey Ye ounchey paer kesey hain Kahin saya nahi kartey Jo dhhun ho kar guzarney ki To phir socha nahi katey Kabhi hansney se dartey hain Kabhi roya nahi kartey Teri ankon ko partey hain Tujhey daikha nahi kartey Sahar se pooch lo mohsin Keh hum soya nahi kartey
--------------------------------------------------------------
it's very easy to hurt someone & say sorry, but it is really very difficult to get hurt & say I"M Fine..
|