|
| POSTED BY: Kshitiz on 05/10/2007 00:19:41 |
|
jo khayal thay na qayas thay , wohi log mujh se bichar gaye jo mohabbato ki assas thay , wohi log mujhse bichar gaye
jinhe maanta hi nahi dil wohi log hain mere hamsafar mujhe her tarha se jo raas thay ,wohi log mujhse bichar gaye
mujhe lamha bhar ki rafaqato k saraab aur sataye ge meri umar bhar ki jo pyaas thi ,wohi log mujhse bichar gaye
yeh khayal saare hain aarzi , yeh gulaab saare hain kaghazi gul arzoo ki jo baas thay , wohi log mujhse bichar gaye
jinhe ker saka naa kabool mein woh shareek rah safar hue jo meri talb meri aas thay , wohi log mujhse bichar gaye
meri dharkano k kareeb thay , meri chah thay mere khawab thay woh jo rozo shab mere pass thay , wohi log mujhse bichar gaye
--------------------------------------------------------------
it's very easy to hurt someone & say sorry, but it is really very difficult to get hurt & say I"M Fine..
|