|
| POSTED BY: Kshitiz on 05/10/2007 00:15:28 |
|
Meray dard ki kahani meri hasraton sey poocho, Mein luta hoon kaisey meray doston sey poocho,
jo khuda tha meray dil ka,mera dil usi ney tora, Yeh ghamo ki sarhadon par mujhey kisney la chora, Ussey mein ney kitna chaha dharkano sey poocho, Mein luta hoon kis taraha meray doston sey poocho,
Yeh saza meray naseeb ney dee meri aashiqui ki, Diya jis ko dil ussi ney meray dil sey dillagi ki, Mein kahan kahan jala hoon meri hasraton sey poocho, Mein luta hoon kis taraha meray doston sey poocho.
--------------------------------------------------------------
it's very easy to hurt someone & say sorry, but it is really very difficult to get hurt & say I"M Fine..
|