| POSTED BY: Kshitiz on 03/10/2007 22:54:22 |
|
buss sahtay sehtay guzar jayegi zindagi kuch na kehtay hoye bhi sab kuch keh jayegi zindagi
kabhi jo khushiyon ki talash main niklogay gamo say tera daman bhar jayegi zindagi
sazza ban kar roz angan main uttregi koi nai aag seene main laga jayegi zindagi
qadam say qadam mila kar chalna chaho jo do qadam bhi na chalaygi mar jayegi zindagi
jis roz dard main kuch kami paoge ussi shaam chup chap guzar jayegi zindagi
--------------------------------------------------------------
it's very easy to hurt someone & say sorry, but it is really very difficult to get hurt & say I"M Fine..
|