| POSTED BY: Kshitiz on 28/09/2007 17:26:20 |
|
kaho kaise ho kaise zindagi ke din guzarte hein kaho ab bhi humari yaad ke jugnu chmakte hein Kaho kya chandni raaton me ab bhi dil dharkta hai Kaho kya aj bhi milne ki khatir jih machalta hai kaho tanhaiyon se khauf to ata nahin tumko kaho khuab to koi tarpata nahin tumko kaho ke yaad hein ab bhi tumhe guzri hui raaten kaho dil se bhula nahin sakte woh pyar ki batein kaho duniya me rehna ab tumhe bekar lagta hai kaho ke hijr me jeena bohat dushwar lagta hai kaho bichre hue saathi joh mil jaen to acha hai kaho guzre hue woh din palat ayen to acha hai kaho kaise sulagti agh se daman bachao ge kaho mayoosion se kis taran picha churao ge kaho tum se bichar kar neend ankhoon me nahin ayi kaho tum se bichar kar waqt ho gaya hurjai chalo keh do judai ka zeher pina nahin aya chalo keh do tumhare hijr me jeena nahin aya
--------------------------------------------------------------
it's very easy to hurt someone & say sorry, but it is really very difficult to get hurt & say I"M Fine..
|