| POSTED BY: Kshitiz on 27/09/2007 16:06:29 |
|
Jul kisay perooN kay chhaloon mein chubhan mehsoos hoti hai thakan mehsoos karney say thakan mehsoos hoti hai
mein khud ko nochta hoon tou badan faryaad karta hai yea wehshat tou mujhey apna badan mehsoos hoti hai
wahan mati taley mein kis tarh say saans kheenchooN ga mujhey taza fiza mein bhi ghutan mehsoos hoti hai
kabhi tou aisay lagta hai keh mein wehshat qaday mein hoon kabhi yea sar zamein mujh ko chaman mehsoos hoti hai
agar kantey nahi hooon tou mujhey rahat nahi milti tumhein phooloon kay bistar mein thakan mehsoos hoti hai
tumhein ab dekhta hoon tou mujhey kuch bhi nahi hota magar seeney mein janey kiyoon jalan mehsoos hoti hai
buland o bala lagti hai kabhi yea aasman say bhi kabhi yea chhat mujhey apna kafan mehsoos hoti hai
yea dunia pehley bhi khud mein magan mehsoos hoti thi yea dunia aaj bhi khud mein magan mehsoos hoti hai
--------------------------------------------------------------
it's very easy to hurt someone & say sorry, but it is really very difficult to get hurt & say I"M Fine..
|