Bohat mukhtasar mera kissa-e-jawani rahadaman khushk raha ankh main pani rahaShayad wakif na tha main ishq ke pech-o-taab seWafaon say mera tarruf sirf gaibani rahaMain gam.e.yaar main duba gam.e.rozgar main khoyaKiya kahoon kiya kiya fikr-e-zindagani rahaHum muskarate rahe aap ki mehfil main parSulagta raha yeh dil aur dard nihaani rahaUmr ne sar se ghamoon ka sauda tha hata diaDil main par ik shaula-e-naagahanii rahaDewanay uske shehr bhar main jo ruswa huweWoh jane kiyun phir bhi sar-giraani rahaKiyun zalimoon nay maon ke bache cheen liyeKahan aye khuda phir jazba-e-insaani raha
Diya khud say bujha daina
hawa ko aur kiya daina
kabhi is tor say hansna
k dunya ko rula daina
kabhi is rang say rona
k khud per muskura daina
Main tera munfarid saathi
Mujhay hat ker jaza daina
Mujhay acha lagay Mohsin
Usay pa ker ganwa daina