| POSTED BY: Kshitiz on 24/09/2007 18:09:11 |
|
Aansu bhar aaye aankh main har ik hansee ke baad gham ban gaya naseeb mera har khushi ke baad
nikla tha kaarwaan mohabat ki rah main har mordh pe nafrat khardi thi har gali ke baad
socha tha piyar ka main sajaounga Gulsitaan har phool jal gaya mera bankar kali ke baad
chahat ki bebasi ka ye qussia hai muktasar dil ne sakoon na paya kabhi dil lagi ke baad
ab raakh he samait ta hoon aashiyane ki khud hi jala diya tha jesey aajazi ke baad
suntey hain baad marne ke milta hai sab sila dekhaingey kia milega humain zindagi ke baad
--------------------------------------------------------------
it's very easy to hurt someone & say sorry, but it is really very difficult to get hurt & say I"M Fine..
|