Dekha hai usko pehli baar
Kal dekha hai usko pehli baar,
Chehra masoom sa ankhon se jhalakta pyar.
Her adaa uski pasand aayi hai mujhko,
Woh ek nazar dewana bana gayi mujhko.
Her pal mere khayalo main wahi hai,
Andhere se badhte ujalo main wahi hai.
Shayd main us k liye kuch bhi nahi,
Per mere liye sab kuch hai woh.
Awaz ab tuk suni nahi,
Jane kab mujhe bolaye ga woh.
Usko dekh ker sab acha sa lagta hai,
Is bhari duniya main woh mujhe apna sa lagta hai..
Made By:Me Ash..