Kisi nazar ko tera intezar aaj bhi hai
Kahan ho tum ki yeh dil bekaraar aaj bhi hai
Woh wadiyan woh fizaayen ki hum miley they jahan
Meri wafa ka wahin mazaar aaj bhi hai
Na jaaney dekhke kyon unko yeh hua ehsaas
Ki mere dil pe unhe ikhtiyaar aaj bhi hai
Woh pyaar jiske liye humne chhod di duniya
Wafa ki raah pe ghaayal woh pyaar aaj bhi hai
Yakeen nahi hai magar aaj bhi ye lagta hai
Meri talaash mein shayad bahaar aaj bhi hai
Na pooch kitne mohabbat ke zakhm khaaye hain
Ki jinko soch ke dil saugvaar aaj bhi hai