Color Scheme : DEFAULT  
Welcome Guest Login or Signup
   



Bookmark:
RSS 1.0     RSS 2.0

Total Views: 355 - Total Replies: 2

POSTED BY: THE_GAME on 29/08/2007 07:12:34


Kabhii yuun bhii aa merii aankh mein,

 

Kabhii yuun bhii aa merii aankh mein,

Kay merii nazar ko Khabar na ho,
Mujhay ek raat nawaaz day,

Magar uskay baad sehar na ho,

Vo badaa raheem-o-kareem hai,

Mujhay yeh sifat bhii ataa karay,
Tujhay bhuulanay kee duaa karuun,

Tou duaa mein merii asar na ho,

Kabhii din kee dhuup mein jhuum kay,

Kabhii shab ke phuul ko chuum kay,
Yuun hee saath saath chalein sadaa,

Kabhii khatm apnaa safar na ho,

Mere paas mere habiib aa,

Zaraa aur dil kay qareeb aa,
Tujhay dhadkanon mein basaa loon main,

Kay bichhadnay kaa kabhii Dar na ho,

 

 

compiled by,

Pankaj Rai...




--------------------------------------------------------------
For being good u need not to b a SUPERMAN... [




POSTED BY: kashish on 29/08/2007 07:26:13


bahot achi sharing hai




--------------------------------------------------------------
Hazaron Manzilain Hongi HazarOn Karvaan HongayNigahein HumKo DhOondHain Gi Najane Hum Kahan Hongay~
Back To Top




POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 18:39:04




" Teri Masoom See Hansi "
Shaam key dhaltay andhairoon main
Thakki thakki see fiza key lamhoon main
Holay holay ubhartay chaand key gird
Chamakti chandni ban kar
Aksar..
Tera chehra nigahoon key roobaroo aata hai
Aur phir aisay main bohat paas kahin
Teri masoom see hansi sunai daiti hai
Kanoon main gounj uthti hai
Jal tarang jaisay
Khill uthta hai
Har manzar jaisay
Mehak uthti hai thakki see fiza
Holay holay chalnay lagti hai
Tandd-o-taiz hawa
Jab teri khushbu lay aata hai koi bhatakta jhounka
Uffak key paar chamakta hua chand
Kisi key khayal say sharma key simmat jata hai
Kisi awara badal ki aarh main chup jata hai
Main aankhain mounday huay
Door khayaloon main kahin kho jata hoon
Apni zaat say hatt kar main tum ho jata hoon
Magar aisay main anjanay kahin say
Tanhai apni bharpoor shakti lay kar
Shaam key phailtay andhairoon main
Ghatta see ban kar chah jati hai
Aur phir uss per teri yaad sittam dhaati hai
Har guzartay pal mujhay tarpati hai
Shadeed qurb key alam main
Main bahain kholay huay
Main apni khamoosh zubaan say tujhay sadda daita hoon
Soochta hoon key tum doori chali aao gi
Zindagi bhar ko meri bahoon main simmat jao gi
Phir haqeeqat ahsaas ki dehleez per dastak dai kar
Mujh per aik sach ayyan karti hai
Key Aey Dewanay
Tu dasht-e-zeest main ab bhi tanha hai
Apnay barhtay qadam rook lay tu acha hai
Tu khud ko abhi touk lay tu acha hai
Warna...
Tu dasht-e-zeest main kahin kho jaye ga
Khaak ban jaye ga
Hawaoon main bikhar jaye ga
Magar kia karoon key meri aik uljhan hai
Main apni zaat ka hakim hi nahin
Meray wajood per TU qabiz hai
Ab meri rooh main TU shamil hai
Yeh mera dil TERAY naam per dharakta hai
Daikhta hoon tu sirf TUM hi TUM ho
Soochta hoon tu sirf TUM hi TUM ho
Khud ko kho chuka hoon
Magar dilbar meray
Main ab tujh ko khona nahin seh paaon ga
Tum bin jeenay ka tassawur hi nahin
Tum say bichra tu shayad
Younhi mar jaon ga...!!!





--------------------------------------------------------------
Maad
Back To Top
19/11/2026



*** NkuT.Com ***